Skip to main content

Healthy foods for babies.

Hello friends,
Kese hain aap sbhi,
Main hu aapki Manisha,

Doston aaj ka topic hai ki bacho ki growth ke liye healthy food kya kya ho skte hain.
But most important baat hmesha yaad rakhiye ki food ko jb bhi banaye to hath atche se wash kre. fir hi ek healthy food puri tarah se healthy hoga.

So friends discuss krte hai ki bacho ko unki growth or weight increase krne me kon kon sa food diya ja skta hai......

1.Sbse pehle important food hai cow milk.babies ko agar dhudh pilaye to pls cow milk hi pilaye kyonki ye jayada aasani se digest ho jata hai.



2. Banana bhi bahot atcha source hai fiber, vitamin B6 and vitamin C ka. jo ki bacho ki growth ke liye bahot jaruri hai. And  important baat chotte babies ko hmesha kela mesh krke hi khilaye.



3. Dry Fruits jese Kaju,Badaam,Akhrot etc ka bhi powder bnakar de skte hain. ya food me add kr ke khila skte hain.



4.  Fruits me to bahot sare vitamins minerals hote hain jo babies ke liye bahot jaruri hain.  jese Apple,  Pear, Orange, Cherry, Strawberry, Pomigranate inka juice bhi bacho ke liye bahot healthy hai.



5. Sweet potato bhi fiber or vitamins C, A, B6 se bhara hua hai. to aap apne baby ke healthy growth ke liye ise bhi baby food me shaamil kre.


6. Pear me iron, fiber and vitamin c hota hai. To ye bhi best hai babies ke liye.


7. Potato ko ubaal kr mesh krke baby ko khilaye. Bahot jayada fayada hoga baby ke weight me.


8. Cheese me Fasfors and Calicium hota hai

to iske slice krke baby ko de.

9. Ghee bhi de skte hain khane me milakr. but 7 month ke baad hi baby ko ghee khilana shuru kre.


10. Oats me bhi fiber and Protin bahot jayada hota hai jo ki bahot healthy hai  babies ke liye. to pls ye bhi jarur khilaye baby ko.


11.Multigrain  khichdi  Bhi baby ki growth me bahot important food hai .



12. Bacho me green salad khane ki aadat bhi daale. ye bahot jayada healthy hota hai.



13. Green vegetables jaroor add kre baby meals me. jisse bacho ki growth tezi se ho.



14.Cerelac food bhi bahot atche options hain babies ke healthy growth ke liye. to isme bahot se options hai jo aap apne baby ke mood and taste ke according select kr skti hain.


To doston ye sare healthy foods hain  jinhe aap apne baby ki diet me add kr skte hain. jis se babies ke weight or growth badegi. or vo healthy rahenge.

Aaj ke liye itna hi. i hope u like it.
 Fir milte hai kutch new soch ke.
Till than bye bye and Thank u.
God bless u.


Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends, Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha  welcome to my healthy mann ki baat  Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips... Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits. take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:--- 1. Wash and clean everything:-  Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dij

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends, kese hain aap sbhi, main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat...... Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki. Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai. Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi. 1. Kya hai Coronavir

Child Vaccination Details

Hi, Friends, kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,   Welcome to healthy mann ki baat..... Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye. Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai. Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain. indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:----- 1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus
satta king