Saturday, May 11, 2019

Wednesday, May 8, 2019

Healthy Mann ki baat: Healthy Soch

Healthy Mann ki baat: Healthy Soch: Hello Doston, Kese hain aap? Main hu aapki Manisha , sawagat hai fir se aapka healthy mann ki baat main. Doston Zindgi bahut naazu...

Sunday, May 5, 2019

How, When and How much Water to be introduce to a baby?

Hello friends,
Kese hain aap sbhi, I hope all are in well..
Friends main hu aapki Manisha,

Friends aaj hm discuss krenge ki baby ko pani kb or kitni amount me dena strat krna hai.
What do u think about that a baby does need water:--- Ek baby ki pani ki requirment kya hoti hai ye baby ki age ke according aapse discuss krugi aaj ke is blog me:----

0-6month baby----Six month se niche ke baby ko pani dena required nahi hota. even Docotors bhi six month se km ke baby ko pani dene se bilkul mna krte hain. esa isliye kyonki six month se niche ke baby ke liye breast milk hi sbse best hota hai and breast milk me  80 to 90 percent pani hi hota hai, to baby ki pani ki requirment milk se hi puri ho rahi hai means alag se pani dene ki bilkul jaroorat nahi hai.
Or agar baby ko formulla milk de rahe hain to usme bhi half water half powder hota hai, is se bhi baby ki pani ki requirment puri ho jati hai, to isliye alag se pani ki need nahi hai baby ko is age me.
But summers me parents ko lagta hai ki shaayad baby ko bhi pani dena chahiye kyonki vo thodi thodi der baad milk ki need mehsus kr raha hai to hme lagta hai ki usko pani ki pyaas lag rahi ho shaayad, but esa nahi kyonki grmi me baby ko sweating and susu aane se jo milk pilaya vo jaldi process ho jata hai to baby ka tummy khali ho jata hai and agar ese me aap usko pani dedenge to uska tummy bhar jayega but usko pani se koi nutrition nahi mil raha jis se uski growth effect hogi. isliye baby ko summers me bhi baar baar bhukh lagne pr water nahi breast milk hi dena hai.
kyonki is age me baby ko growth ke liye jo nutrition chahiye vo breast milk se hi milenge. So six month se niche ke baby ko pani  bilkul bhi nahi dena hai.

6 to 12 month:---- six  month se upper ke baby ko hm pani introduce krwa skte hai but not a lot of water .
infact doctors bhi yahi suggest krte hai ki six month se upper ke baby ko bhi pani ki requirment jayada nahi hoti. thodi quantity me hi pani pilaao.
Six month se upper ke baby ko hm solids dena shuru kr dete hai to us food ko digist krne ke liye pani ki need hoti hai. but bahot jayada pani nahi dena hai abhi bhi. thoda thoda sip sip krke water pilaao spoon se. koi guideline nahi hai ki 30ml ya 60ml ya 100ml dena hai, bas jese jese solids increase kro vese vese pani ki thodi thodi quantity increase krte jao.

12 month se upper:---  Ab jab baby ki bhukh age ke according increase  hone lagti hai to hm pani ki quantity bhi increase kr skte hai. but pani gilass se nahi sippers se hi baby ko dijiye, kyonki  gilaas se pani ki quantity control nahi hoti.
sippers se baby comfortably pani sip sip krke pee leta hai.
But sbse best hai ki pani ki need jab baby ko mehsus ho tab simple pani ki jagah usko coconut water and fruits juices jayada se jayada do.
inse baby ka pet hi nahi bharega balki usko nutritions bhi milenge jo baby ki growth ke liye important hain, So baby ko apple juice, Watermelon juice, Pineapple
juice, Pomegrainte juice jayada se jayada dijiye, kyonki in fruits me water
components already bahot jayada hota hai to baby ko inse water bhi mil raha but nutrition wala.
aap chahe to baby ko unke mood ke according  fruit shakes ya soups ya daal ka pani bhi de skte hain.

main motto ye hai ki bhhukh lagne pr ya pyass lagne pr sirf pani se hi  tummy nahi bharo balki koi nutrition wala liquid do baby ko peene ke liye. jo unki health and growth ke liye important hai.

Which Type of water:------ Ab jab baby ko pani dena shuru  kr diya hai to mann me ye sawal uthta hai ki baby ko R.O water de ya sirf boiled water
maine is baare me doctor se bhi consult kiya to unhone  bhi yehi suggest kiya ki two years tak ke baby ko boiled pani hi dijiye. water chahe R.O ka ho, Aqwaguard ka ho but boil krke hi pilaao.
Water boil krne se vo puri tarah bacteria free ho jata hai. water boil krlo fir room temperature pr thanda krke pillao. baby ko room temperature wala pani hi dijiye freez ka thanda pani avoid kijiye.
So water na jayada garm na jayada thanda room temperature wala pani hi baby ko pilaaye.

Kya Gripe water baby ko dena thik hai ya nahi?:----friends gripe water ke baare me sbki apni soch hai, but meri thinking gripe water ke baare me yahi hai ki jitna ho ske gripe water ko avoid kijiye.
Six month se km ke baby ko to pani bhi nahi dena to gripe water to bilkul bhi nahi .
but jab baby ki teething process shuru hoti hai tab parents gripe water dete hain baby ko but iska faayda ho raha ya nahi ye nahi pta, but i think kisi bhi cheez ki habbit mt lgaoo baby ko, kabhi kabhi dene or daily dene me habit lag jati hai. is baare me maine apne teething process wale blog me discussed kiya hai.

gripe water me Sodium carbonate and alcohal and sugar ki quantity hoti hai jis se baby ki kidney bhi damage ho skti hai. so please ya to bilkul avoid kijiye, ya fir kabhi kabhi de skte ho, daily habit mt lagaao.
infact doctors bhi gripe water avoid hi karwate hain.
If baby ke tummy me pain hai to gripe water ki jagah gunguna oil leke baby ke pet ki halki halki massage kro.
baby ki cycling wali exercise krwao jis se tummy me gass ki problem nahi hogi . or jab bhi milk pilaaye baby ko burbs jaroor dilaaye, is se baby ka tummy relax and comfortable feel krta hai.
Morning me jab baby uth ta hai to usko gunguna pani pillaye, jis se baby ko potti related prob nahi hogi  uska pet easily clear hoga. or baby pure day comfortable mehsus krega.

So friends ye the baby ko diye jane wale water related mere kutch sujhaav.
I hope aapko aaj ka discussion atcha lga ho. actually i have twins. so mere babies ke sath mujhe jo experinces gain ho rahe hain vo main aap sb ke sath share krti hu.
I know meri tarah hr maa apne baby ke liye bahot concern hoti hai or apne baby ke liye sb best krna chahti hai. every time bas mann me ye dr laga rehta hai ki baby ke liye bhul se bhi kutch galat na ho jaye...... jo bhi kru bas mere baby ke liye best ho, jisme vo comfortable ho...


Guyes aaj ke liye itna hi fir milte hai kisi new mann ki baat ke topic ke sath.....

tab tak ke liye bye
take care
God bless u....
Love u all.....

Healthy Mann ki baat by Manisha: कौन-कौन सी भोजन संबंधी सावधानियां अपनाएं कोरोना व...

Healthy Mann ki baat by Manisha: कौन-कौन सी भोजन संबंधी सावधानियां अपनाएं कोरोना व... : नमस्कार दोस्तों, कैसे हैं आप सभी, मैं हूं आपकी ब्...

satta king