Skip to main content

Child Vaccination Details

Hi, Friends,
kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,  
Welcome to healthy mann ki baat.....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai
baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye.

Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad
baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai.

Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain.

indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:-----

1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus Calmette  Guerin . ye injection baby ko uske birth ke baad hi lagaya jata hai.  B.C.G  vaccination
baby ko   T.B   jesi dangerous bimari se safe krta hai .  T.B ek bahot hi khatarnaak and jaanleva bimari hai. T.B ki bimari kisi ko bhi kisi bhi age me ho skti hai. isliye B.C.G ka injection baby ko uske birth ke baad 15 days ke under lagana jaroori hota hai.

indian government ki taraf se B.C.G ka injection sabhi babies ke liye very important diclaire kiya gya hai.

ye injection baby ko puri umar bhar T.B ki bimari se bachne ke liye diya jata hai.
B.C.G ke injection ke sath baby ko oral poliyo ka zero doze bhi diya jata hai.

injection ke baad kutch babies ko fiver or vomiting ho skti hai. but agar fiver bahot hi jayada ho to please doctor se consult kre.

agar kisi vajah se bache ka B.C.G. vaccination reh gya ho to 5 years tak bhi ye injection lagwaya ja skta hai.


2. D.P.T. Vaccination:----  D.P.T  means Diphtheria, Pertussis and Tetanus.  yeh  injection baby ko three dangerous bimariyo se bachaata hai.

Diphtheria :- Ek esi bimari hai jiski starting  to gale ki kharaash se shuru hoti hai but slowly slowly increase hokar bahot hi dangerous roop leleti hai.

Pertussis :-  Isko normal language me Kaali Khansi  bhi kaha jata hai. yeh  fefdo ke infection related bimari hai.

Tetanus :- Titnes ki vajah se ghaav jaldi nahi bharte. isliye jayada infection hone ka khatra ho jata hai.

D.P.T  vaccination in sabhi bimariyo se bachaata hai. yeh injection Indian Government ki taraf se important injections me shaamil hai.
yeh injection baby ko six month se pehle pehle diya jata hai.
Developing countries me every year ek saal se km age ke three laakh bache  Difthiriya ,kaali khansi, and titnes ke shikaar hokr mar jate hain. ye vo babies hote hain jinhe D.P.T vaccination ya to lagwaya hi nahi ya fir sahi time pr nahi lagwaya gya ho.isliye bahot jaroori hai ki babies ko sare injections time pr lagwaye jaye. and countries ko  In maha -bimariyo se bachaya ja ske.
Kutch babies ki injection wali jagah pr laali aa skti hai and gaanth bhi bn skti hai. isme worry krne ki jaroorat nahi ye kutch dino me thik ho jati hai.


3. M.M.R vaccination :-----  Means khasra. Yeh vaccination ek tarah ke dangerous viral se baby ko bachaata hai. is bimari me baby ki body pr small small daane nikl jate hain, and bukhar bhi ho jata hai. isliye is bimari se bachne ke liye jab baby 9 month ka ho jata hai to usko khasre ka vaccination diya jata hai.
khasre ki bimari bahot hi khatarnaak and jaanleva ho skti hai.
is bimari me khansi, aankho me jalan, bukhaar, skin pr red colour ke daane nikl jate hain.
khasra bahot hi aasani se ek person se dusre person me by air fell jata hai. isliye jaroori hai ki baby ko right time pr khasre ka vaccination diya jaye and is dangerous bimari se baby ko bachaya ja ske.

4. Hepatitis.B  Vaccination:----- Hepatitis. B ek bahot hi dangerous bimari hai jo ki Jaundice ki bimari se bhi jayada dangerous hai. yeh vaccination bacho ko Hepatitis B and jaundice ki bimariyo se safe krta hai. Hepatitis ek tarah ka virus hai jo lever ko buri tarah se destroy kr deta hai. HepatitisB 
ka vaccination baby ko three baar different different time pr  three shots ki series me diya jata hai.
First short-- --       birth ke time.
Second Short--   1-2 month ki age me.
Third Short----   6-18 month ki age me.



5.Chickenpox Vaccination:----  Chickenpox vaccination baby ko chickenpox ke viral se bachata hai. ye injection baby ko two dose me diya jata hai.
First Dose----- 12-15 month ke baby ko.
Second Dose ----- 4-5 year me bache ko  diya jata hai.




6. Second M.M.R Vaccination:---- Yeh
Vaccination baby ko Khasra, Measles, mumps and Rubella jesi risky bimariyo se bachane ke liye diya jata hai.
iska pehla dose 15-18 month me and second dose 5 years ki age me diya jata hai.

Precautions:---  Agar aapke baby ko fiver hai to jab tak baby puri tarah se thik na ho jaye tab tak baby ko M.M.R vaccination nahi lagway.


7. Rota Virus Vaccination:---- Rota Virus ki vajah se baby ko Dast  ho skte hain. yeh vaccination
baby ko Dast  se bachata hai.
Six month se lekr two years tak ke baby ko Rota Virus ke viral se khatra bna rehta hai.
Rota virus Vaccination ke bina baby ko is viral se bachana impossible hai.

First Dose ---- 6 week ki age me
Second Dose-----10 week ki age me
Third Dose----14 Week ki age me. diya jata hai.


Upper batai gai sari bimari bahot hi dangerous hai babies ke liye.  but agar baby ko ye sare vaccination thik time par lagaye jaye to babies ko in jaanleva bimariyo se bachaya ja skta hai.
Baby ko right time pr injections lagwane ke liye apne baby ke Doctor se consult kre and unse vaccinations schedule jaroor lejiye.

Caring fot your Child after Vaccinations:-----

If you are wondering what precautions to take after baby is vaccinated,
here is some tips that what u need to keep in your mind:---

 1.  Vaccination ke baad baby ko fiver ho skta hai,  pain and soojan  bhi ho skti hai. yeh normal baat hai. isme tension ki koi baat nahi. but agar baby continue crying krta hai.and bahot time baad bhi usko aaram na mile tab esi situation me urgently  Doctor se consult kre.

2. Agar Bukhar bahot jayada ho  and skin bahot jayada sooj gai ho to bhi urgently doctor se cunsult kre.

3. D.P.T vaccination ke baad to definitely baby ki injection wali jagah laal ho jati hai and sooj jati hai or sath hi gaanth bhi ban jati hai. but isme tension ki koi baat nahi ye  kutch days me apne aap thik ho jate hain.
pain and fiver se relief ke liye doctors paracitamol  medicine
baby ko pilane ke liye dete hain.

4. Baby ki soojan ko kam krne ke liye thande kapde se sikai kre.

5. Doctor se consult krke baby ka fiver km krne ke liye cool sapanj bath bhi de skte hain.

 6. M.M.R. vaccination ke baad approximately  four to ten days ke baad baby ko fiver ho skta hai. isme tension ki koi baat nahi. yeh normal hai.

7. Vaccination ke baad baby agar jayada feed nahi le raha to isme tension ki baat nahi hai. esa hona normal hai ki injection ke baad bhukh thodi km ho jaye. thode time baad sb normal ho jayega.

8. Vaccination ke baad kutch days tak apne baby par jayada dhayan de. agar aapko kutch esa lagta hai ki tension ki baat hai to urgently doctor se mile.

friends babies ke mentally and physically development ke liye right time pr baby ko vaccination dena bahot important hai.
Vaccination ke maamle me thodi c bhi laaprvaahi baby ki jaan ko risk me daal skti hai.

So friend baby ko jaanleva bimariyo se safe krne ke liye sahi time pr and sabhi vaccinations  lagwana bahot jaroori hai. and every parents ko baby vaccinations ki puri knowledge rakhni chahiye.

Aaj ke liye itna hi, I hope aaj ka topic aapko atcha laga ho. fir milte hai kisi new knowledgeable topic ke sath....

 Till then bye bye... take care....
 God bless u.....



.

Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends,
Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha 
welcome to my healthy mann ki baat 
Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips...
Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits.

take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:---

1. Wash and clean everything:- Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho
unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize
krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dijiye.

2. Wash milk bag…

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends,
kese hain aap sbhi,
main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat......

Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki.

Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai.

Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi.

1. Kya hai Coronavirus :-------
Corona…
satta king