Hello friends,
Kese hain aap,
Main hu aapki Manisha,
Doston aaj hm discuss krenge ki bacho ki bhukh kese badhaye. Doston aaj kal bacho ko khana khilana kisi bhi parents ke liye kisi jung se km nahi, hr mata pita ki yahi tension hai ki hmara bacha thik se khana nahi khata. Mujhe bhi is problem ko face krna pda lakin fir kutch research kiya to jo solutions mile us se mere babies ki bhukh increase krne me kafi faayda hua.
Chaliye aapke sath share krti hu ese hi kutch fayde wale tips jis se aapke bacho ko fayda hoga or aapki tension kafi hadd tak km hogi.
1. Choosing the right food at right age:-- Research me bataya gya hai ki bacho ko unki age ke hisaab se hi sahi bhojan introduce krwaye. Aap apne bache ko jo bhi bhojan de vo unki age ke according hi shuru kre. tabhi bacha us meal ko digest kr paayge and uska interest bhi badega khane ki taraf. or bacha enjoy bhi krega us meal ko jo aap usko uski age ke according de rahe hain.
2. Use the Right feeding Equipments:-
Bacho ke feeding equipments bhi bahot comfortable or attractive ho. bacho ko proper ek table or chair pr baitha ke khana khilaye. jis se unka interest khane ki taraf increase hoga or unme table manners bhi aajayege.
3. Have a gaps between the meals:-
Hmesha bacho ko diye jane wale meals ke bhich gaps rakhe. bas itna dhayan rakhe ki gap bahot jayada lamba bhi na ho or na hi bahot km.
4. Avoid oily snacks:-
Bacho ko meal se pehle khane ke liye oily snacks nahi de. jab bhi snacks de to fruits hi de.fruits ke juices bhi de skte hain. jis se bacho ki bhukh badegi.
5. Always have a backup:-
Bache ka agar ek chees me interest nahi ho raha to hmesha dusra koi khane ka option ready rakhe. jise vo khushi se khale. mere babies ke sath hmesha mujhe ese hi koi na koi khane ka backup rakhna padta hai. jis se vo time se meal le paye.
6. Most Important:-
kabhi bhi bacho ko forcefully khana na khilaye. or na hi watch dekh kr khilaye. balki unki activities ke according khana de. ho skta hai khelte khelte unhe aapke decided time se pehle bhukh lag jaye. so please is baat ka dhayan rakhe.
7. Right age me hi khana introduced karwaye:-
Hm sb jaante hai ki six month ke baad hi babies ko khana dena shuru krna chahiye but aapko ye dhayan dena chahiye ki bacha khana khane ke liye kis time pr sign de raha hai. ho skta hai vo six ya seventh month ke baad khana khane me interest dikhaye. means bacha jab khud se khane me interest dikhaye tbhi se usko khana khilana shuru kre. jabardasti kutch na khilaye. perfect time vo hi hai jab bacha khud ki itcha se khana shuru kre.
8. Khane me variety laye:-
Ek tarah ke khane se bacha bore ho jata hai. or vo khane se jee churane lagta hai. so please alag alag recipes try kre.
9. Bache ko jayada se jayada vitamins wala khana hi khane ko de.
10. Cake, biscuits bhi de skte hai but bahot less quantity me he de.
11. Fastfood se bacho ko dur hi rakhe:-Bahar ka oily ya jayada masaaledaar khane se bache ka digisit system kharab ho jata hai.
12. Litchi ka sevan jaroor kraye kyonki isko khane se bhukh badti hai. khane se pehle bache ko 3-4 litchi khane ko jaroor de.
13. Agar kabhi majboori me bahar khana khilana pde bache ko to make sure ki khane ki jagah saaf suthri or healthy ho.
14. Bache ko hmesha packet wale products hi khane ko de.khule nahi.
15. Bahar jab bhi juice pilaye to atchi jagah dekh kr hi pilaye. jo person juice ready kr raha hai uski taraf bhi dhayan de ki vo saaf tarike se preparation kr raha hai.
16. Bache ko khansi jukaam fever hone pr usi time doctor ko dikhaye. laaprvaahi bilkul na kre.
17. Establish a Routine:-
Har roj ka ek routine bna lo ki bache ko is time pe Khana dena hai. taki bache ko realise ho jaye ki ye uske khane ka time hai or vo khane me interest bhi dikhayega.
18. Ghar se bahar hmesha mineral bottel hi use kre.
19. Apple bahot hi beneficial fruit hai health ke liye. is ko khane se bhukh badti hai. so please ek apple bhi meal se pehle bache ko khane ko jaroor de.
20. Pudina Means mint isme bhi bhukh increase krne ke goon payey jate hain. iski chatni bnakr de. ya fir iske ras ko honey me milakr de. is se bache ki bhukh badegi.
21. Tomato bhi bhukh increase krta hai. to ise bhi babies ko meal se pehle khane ko de.ya khali pet bhi khila skte hain.
22. Bache ko fruits and vegetables jayada se jayada quantity me khane ko de.
23. Baby ko fresh air me jaroor ghumaaye, is se bhi uski health ko bahot benifit hoga.
24. Frequency of meals:-
Babies ke meal me slowly slowly solids ko badaye. ek dam se change na laaye. bache ko time lagta hai ek food se dusre food me khud ko comfotable hone me.
25. Avoid Distractions like Tv, phone etc. Bache ke khane ke time in sb ko dur rakhe vrna bacha distract ho jayega or khane pr dhayan nahi de payega.
So friend main bhi in sare tips ko dhayan me rakh ke apne twins ka khayal rakhti hu. and i am sure aap ke bache ko bhi in tips se bahot fayda hoga...
Aaj ke liye itna hi. fir milte hai kutch naya lekr.
Love u all.
God bless u.

No comments:
Post a Comment