Thursday, October 17, 2019

How to get rid of Dark Circles in undereyes ?

Hi Friends,
Kese hain aap sbhi, main hu aapki blogger Manisha,
welcome to Healthy mann ki baat....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge ki kese hm apni aankho ke niche ke dark circles ko remove kr skte hai kutch easy se tips se...

Aankhon ke niche dark circles ek aam samsya hai, jo men and women sbhi me hoti hai. pehle ye problem 40-45 ki age ke baad hoti thi but aajkal ye problem kisi bhi age ke person me dekhi ja skti hai.
Aankhen hmare sharir ka sbse pyara part hai jinse hm ye beautiful duniya dekh skte hain. isliye jaroori hai ki  hm apni aankhon ka khayal bahot atche se rakhe. Aankho ki khubsurti se insaan ki khubsurti ka ehsaas hota hai. isliye apni aankho ki care krna bahot jaroori hai.
Eyes ke aass pass ki skin bahot hi naazuk hoti hai isliye iski care bahot hi carefully krni chahiye.

Reasons of Dark Circles:---
1. Age
2. Stress
3. uses of Computer ,T.V and mobile
4. Pregnancy
5. Smoking and Drinking
6. Pollution
7. Not proper slipping
8. Not proper healthy food. etc.

Aajkal market me dark circles remove krne ki bahot c creams milti hain. jo claim krti hai ki inko use krne se dark circles surely remove ho jaaynge. but really me use krne par itna asar nahi hota. Sath hi ye creams bahot costly hoti hai and chemicals se bhari hoti hai, jo hmari eyes ki aas pass ki skin ko nuksaan pahuncha skte hain.
kai baar esi creams ke use se eyes me jalan, eyes se pani aana and sir me pain ki problems ho skti hain.
Isliye kyo na hm dark circles remove krne ke liye home made upchaar apna kar dekhe. jo ki easy bhi honge and hmare budget me bhi  hote hain.


1. Cucumber:---  Kheera ek Mild Astrigent hai, jo hmari skin ke colour ko light krta hai.yeh dark circles ko remove krta hai. sath hi eyes ko aaram and cooling effect bhi deta hai.
iske liye cucumber ke slices cut kre and inko 30 Minutes ke liye freeze main rakh do. ab in slices ko eyes ke upper rakh kar 10 minutes tak aaram se baith jaye. one week tak continue esa hi kre. bahot atche result milenge. iske alava kheere and lemon ke ras ko mix krke cotton ki help se dark circles par lagaye. after 10 minutes wash your eyes. one week tak every day use kre bahot atche result milenge.



2. Milk:---- yeh skin ko Moisturizer deta hai.skin ko soft krta hai. Milk
face ki skin ko tone krta hai. iske liye milk ko freeze me rakh kr thanda krlo. cotton ko isme bheego kr eyes ke upper rakh lo. 15 minutes tak ese hi rehne do. fir eyes wash krlo. one week tak continue esa kre.





3. Almond Oil :---- Badaam oil eyes ki pass ki naazuk skin ke liye bahot best hai.isme vitamin E hota hai, jo dark circles ko reduce krta hai. iske liye night me sone se pehle almond oil
se eyes and eyes ke aas pass ki skin ki halke hatho se massage kre. raat bhar ese hi rehne do, morning me normal water se eyes wash kr lo. jab tak dark circles remove nahi ho jate every day esa kre.



4. Rose water 🌹:---Gulab jal
skin ke liye bahot atcha hota hai. skin ke liye yeh ek best toner hai.yeh face ki dirt remove krke hmari skin ko Smooth and Refresh krta hai. Cotton me thoda sa gulab jal
daal lo and ab is cotton ko apni eyes par 15 minutes tak rakha rehne do. Best results ke liye Every day rose Water use kre.





5. Potato 🍠:----Aallu ek natural bleech ka kaam krta hai. jiske use se dark circles bahot jaldi remove ho jate hain. Aallu
eyes ke pass ki sujan ko bhi remove krta hai. iske liye one allu ki ghiss kar uska ras nikal lo. ab cotton se allu ke ras ko eyes ke pass ki skin pr lagaye. 15 minutes baad wash krlo. every day use krne se bahot jaldi atche result milenge.




6. Lemon 🍋:---- Nimbu
  me vitamin- C  hota hai jo skin ko light krta hai and dark circles ko remove krta hai. Nimbu
ke ras me cotton bhigokar isko eyes ke aass pass lagaye. 10 minute baad wash kr lo. agar aapko nimbu ke ras se irritation hoti hai to lemon ras me thoda gulab jal and thoda simple water add krlo. For best results use lemon every day.




7. Coconut Oil :----  Coconut oil skin ke liye bahot atcha moisturizer hai. iske daily use se bhi kutch hi time me dark circles remove ho jate hain. night me sone se pehle coconut oil
se apni eyes ki atche se massage kre. fir eyes morning me wash kro. one week tak every day use kro.




8. Tomato 🍅:---- Tomato bhi ek natural bleech hai jo ki skin ko light krta hai. yeh 
black spots and dark circles ko remove krta hai. iske liye one spoon tamato ke ras me, one spoon nimbu ka ras milao and isko atche se mix krke apni eyes ke around lagao. 10 minutes baad wash krlo. every day two times  is paste ko apply  kre.




9. Green Tea Bags:----  Green tea bhi dark circles ko remove krti hai. and sath hi eyes ke pass ki sujan ko bhi thik krti hai. Two green bags ko one cup water ke sath boil kro. ab green bags
ko bahar nikal kar thanda kro. ya fir one hour ke liye freez me rakh do. fir in bags ko apni eyes pr 15 minutes tak rakhe. 10 days regularly esa hi  kre best results milenge.





10 Honey 🍯:---- Honey bhi skin ke liye best moisturiser hai. yeh bhi dark circles remove krne me help krta hai. iske liye honey
ki ek thin layer ko eyes ke dark circles pr lagaye. 20 minutes baad wash kre.





11. Alovera:----  Alovera agar fresh mil jaye to kya baat hai. alovera skin ke liye natural best option hai. Yeh skin ki sbhi problems ko thik krta hai. Alovera
ka jel eyes ke dark circles pr every day lagao bahot jaldi best se bhi best result milenge.



Some  extra tips  for removing  dark circles:-

1. Dark circles hone ka reason neend ki kmi bhi hoti hai. isliye neend
atche se lijiye.



2. Every day 8-10 gilass pani pijiye. hmari body ka  jayada se jayada water
consume krna hmari skin and eyes ke liye best hai.


3. Healthy food khaye.  market ke food ko avoid kre. jayada se jayada green vegetables
consume kre.


4. Sun light
me jab bhi nikle eyes ko chashme se cover kre. and koi atchi sunscreen cream bhi use kre.



5. Night me sone se pehle apne face par se sara make up remove kre. and kisi atche face wash se
chehra wash krke soye.



6. Morning me uth kar sbse pehle eyes ko normal water
se atche se wash kro.

So friends ye the kutch natural tips hmari eyes ke dark circles ko remove krne ke liye. ye sare tips natural hai jis se aapki skin ko koi side effects nahi honge. on other hand in homemade tips ko use krne se best results  hi milenge.
bas jo bhi kre regularly use kro for best results.
I hope aapko aaj ka blog atcha lga ho. aaj ke liye itna hi fir milte hai kutch new healthy soch ke sath.
Till then Bye bye.......
Take care.......
God bless u......
🎀🎀✨✨✨🎀🎀
✨✨🎀🎀🎀✨✨
🌺🌺🌺🎀🌺🌺🌺
🌺🌺🌺🎀🌺🌺🌺✨🎈✨🎈✨🎈✨
🎈🌟🎉🎂🎉🌟🎈
✨🎉🎁🌟🎁🎉✨
✨🌟🌟✨🌟✨✨
    ✨🌟🌟🌟✨
        ✨🌟✨
✨ 🌟 ✨
            🔥
        💗❤💗
   ðŸ’—❤❤❤💗

🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀
🌺🌺🌺🎀🌺🌺🌺
🌺🌺🌺🎀🌺🌺🌺

Healthy Mann ki baat by Manisha: कौन-कौन सी भोजन संबंधी सावधानियां अपनाएं कोरोना व...

Healthy Mann ki baat by Manisha: कौन-कौन सी भोजन संबंधी सावधानियां अपनाएं कोरोना व... : नमस्कार दोस्तों, कैसे हैं आप सभी, मैं हूं आपकी ब्...

satta king