Skip to main content

How to Care our hair?

Hello Friends,
kese hain aap sbhi, i hope sbhi thik ho khush ho.....
main hu aapki blogger Manisha, Welcome to Healthy mann ki baat....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge ki hm apne hair ki kese dekhbhaal kre ki hmare baal healthy and beautiful ban jaye.....
Hair bhi every season me care chahte hain,fir chahe summers ho, winters ho ya fir Rainy  season ho. every age Group persons apne hair ki care karna chahte hain.  issi liye kabhi Costly shampoos use krte hain and ya fir beauty parlours me jaakr paise kharch kar dete hain....

but agar aapne notice kiya ho to purane jamaane ke logo ke baal abhi bhi kaale ghane and lambe dikhai dete hain. kyonki hmare daadi -daada, Naani-naanu apne jamaane  me home made nuskhe use krte the...
Aajkal ke logo me jese jese age increase hoti hai ,baalo ka jhadna bhi shuru ho jata hai. and age se pehle hi baal white hone lagte hain. and hm life me itne busy rehte hain ki baalo ki care ka time hi nahi milta.
so hm yaha kutch aasaan  se home made tips discuss krenge hair care ke liye....



1.Onion ka ras:----
onion me salfar ki quantity hoti hai. ye tissue me kolezen ke Production ko increase krte huye hair ki growth main help krta hai.
iske liye onion ka ras nikaal lo fir 15 minute ke liye baalo ke scalp me laga rehne do.iske baad baalo ko shampoo se wash kr lo.



2. Coconut milk:----
hair ke atche growth ke liye coconut ka milk sabse best hai.isme iron, potassium, and fat ki quantity bahot jayada hoti hai.
iske liye coconut milk + Levender oil ki kutch drops add kre.  isko atche se mix kre.
baalo ki root me atche se lgaye and two hours ke baad wash kr lo.



3. Apple vinger:-----

apple ka sirka scalp ko clean krke ,P.H  balance ko banaye rakhne me help krta hai.
iske liye baalo ko wash krne ke baad  apple vinger ki one cap  one mug water me add krke baalo ko wash kre.
is se baalo me shine aayegi and baalo ki growth bhi increase hogi.



4. Egg white :---
Egg health ke sath hair ke liye bhi bahot useful hai. isme protin, iron, salfar,Zink and ,iodine hota hai. ye sab hair ko healthy bnane me help krte hain.
iske liye egg ka white part bowl me le,fir isme Lavender oil ki kutch drops and one spoon Honey add krke mix kre. is paste ko 20 minute ke liye baalo me lage rehne do. fir shampoo and normal water se wash krlo. is se baalo me shine aati hai and hairs healthy ho jate hain.



5. Methi paste:--- Methi me protin hota hai. jo hair growth keliye bahot benificial hai.
iske liye Mixi me methi daane and thoda pani add krke paste bna lo. fir is paste me coconut oil add kre. atche se mix krke is paste ko baalo ki scalp me lagaye.30 minute ke baad wash krdo. is se hair growth atche se hota hai and  methi hair ke orginal colour ko protect krti hai.



6. Green tea:---  Green tea healthy hair ke liye bahot atchi hai.
Green tea ek bahot atchi antioxident hoti hai, jo hairs ko tutne se rokti hai and hair growth me help krti hai. iske liye halki garm green tea ko apni hair scalp me lagaye and one hour ke baad normal pani se wash kr do.



7. Amla:-- 
amla  me vitamin- c hota hai . jo hair growth me bahot atcha hota hai.
amla aapke baalo ki har problem ka end ke dega. amla ke use se hair bahot hi strong and healthy ban jaynge.amla baalo ka jhadna rokta hai, dandruff ko clean krta hai,baalo me shine laata hai.
iskeliye Two spoons amla powder
or amla ras me one spoon lemon ras add kre. isko baalo ki scalp me lagaye and 30 minute ke baad gungune pani se wash krlo.

                           or

amla and curd hair mask:-  yeh mask
aapke baalo ko bahot hi khoobsoort bna dega,jitna ki koi dusra ingredient nahi bna skta.
iskeliye two spoon  amla powder, thoda gunguna water,one teaspoon honey,  two spoon  curd add kro, insbhi  ko atche se mix kro and 30 Minute tak baalo me lga rehne do,fir baalo ko gungune water se wash kr lo.

8. amla hair wash:-  aajkal sbhi me time se pehle hi hair ka white hona dekha jata hai.yeh ek common baat ho gai hai. amla ek esa herbal suppliment hai jo baalo ko white hone se rok skta hai. and baalo me shine laa skta hai
iske liye amla ke small small pieces kro and thode pani me daalkar 30 minute tak boil kro, fir isko thanda hone do, is amla pani se baalo ko wash kro. week  me two baar esa kro jaldi hi aapke hair me aapko atche result milne lage ge.


9. Amla oil:--- amla oil
se hair massage karne se Hair Follicles strong hote hain. baalo ka jhadna km hota hai. and head me blood circulation bhi proper hone lagta hai. but maalish se pehle oil thoda gunguna kr lijiye
jab bhi baalo ki massage kre halke hatho se kre, jor jor se krne se baalo ki root kamjor ho jati hain.
healthy hair ke liye week me two times oil massage jaroor kijiye. aap chahe to  coconut oil bhi atcha option hai.


10.every day scalp Massage:---  night me sone se pehle apne scalp ki apni fingers ki help se

aaram se massage kre. esa krne se aapke baalo me jo natrual oil hai vo aapki scalp and baalo me equal roop se lag jayga.scalp me blood circulation bhi increase hoga.



11. Night hair mask:-- agar aapko day me hair mask lagane


ka time nahi milta,tab ye kaam aap night me kr skte ho. night me hair mask lagaye and shower cap pehan  kar so jao. subah baalo ko wash kr lijiye. aap khud notice krenge ki baal bahot hi soft ho gye hain and baalo me shine bhi aayegi.

so friends ye kutch tips hain jo aapke hair ko Strong and healthy bna denge. i hope aaj ka topic aapko atcha lga ho and i am sure aapke liye bahot faaydemand bhi hoga.
aaj ke liye itna hi fir milte hai kisi new topic ke sath.
till then bye bye take care
God bless u
Love u all.......

Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends,
Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha 
welcome to my healthy mann ki baat 
Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips...
Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits.

take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:---

1. Wash and clean everything:- Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho
unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize
krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dijiye.

2. Wash milk bag…

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends,
kese hain aap sbhi,
main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat......

Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki.

Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai.

Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi.

1. Kya hai Coronavirus :-------
Corona…

Child Vaccination Details

Hi, Friends,
kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,  
Welcome to healthy mann ki baat.....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai
baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye.

Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad
baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai.

Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain.

indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:-----

1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus Calmette  Guerin . ye i…
satta king