Hi friends,
How Are You,
I am your blogger Manisha and welcome to my blog in Healthy Mann ki baat.......
Guys aaj ka blog ek travel blog hai. Aaj ke blog me hum Kerala ke baare me discuss karenge ki yaha kya kya places hain jaha hm apni holidays enjoy kr skte hain. So lets start......
KERALA ka Naam jubaan par aate hi Dil or dimag me sabse pehle ye sab ghumne lagta hai...like
beaches , Coconut tress, Houseboats, Kathakali, Tea gardens and Big big Temples etc.
Kerala me itna Kutch dekhne ke liye hai ki jitne bhi days hum plan karke jaye vo kam hi padenge.
Kerala apni purani bandargaah ki vajah se vayapaar ka bahot big spot Raha hai. Kerala is a Domestic and international commercial place.
And kerala ka heart Maani Jane wali city hai Cochin.....
World famous Cochin Ko "' poorav ka vanis" bhi kaha jata hai.
Friends chaliye ab discuss krte hain ki Kerala me kon kon se places hain jaha hm visit kr skte hain and enjoy kr skte hain.......
1. Saint Francis Church Cochin :------- Saint Francis Church
constructed in the 15th centuary by Portuguese traders at Cochin. yeh church indian land par bana pehla uropiye church hone ke karan famous hai. ..yeh church bohot baar reconstructed hua hai. church ki constuction pehle wood ke sath ki gai thi, fir 1506 mein francis people ne bricks ka use karke iss church ko new look diya. aaj jis roop mein yeh church
dikhai deti hai iski construction 1516 mein complete hui, baad mein 1804 mein douch people ne iss church ko british people ke control mein de diya. aur fir yeh church saint francis ko over hand kar diya gaya .
2. Synagogue, mattancherry : ------- kerala ke Fort Cochin area mein Synagogue naam ka sabse purana yahudi prayer place hai . yeh synagogue
apni amazing virasaat ke liye jana jata hai. iski construction me china tiles ka use hua hai. is jagah ki vaastukala dekhne laayak hai. synagogue ki sajaavat par bahot dhayan diya gya hai. floor par china se laaye gai blue ciramic tiles bichi hain, in par hatho se painting ki gai hai. yaha ek clock tower bhi hai jiski construction year 1760 mein ki gai thi. yaha photograph lena mna hai.
3. Mahatma Gandhi beach:------kerala ke Fort Cochin mein hi Mahatma Gandhi beach
padta hai. Vese to Sara ka Sara Cochin dekhne laayak hai lakin evening me Mahatma Gandhi beach par walk karna bahot atcha lagta hai. Yaha beach ke near hi evening mein road par food counter bhi open ho jate hain. Yaha baith kar aap Sea Food ko enjoy kr skte hain.
4.Chinese Fishing Nets :-------- Visiters jab Fort Cochin aate Hain to unke liye sbse jayada attraction ka place hota hai Chinese Fishing Nets.
Ye nets Mahatma Gandhi beach ke nazdeek hi lagi Hui hai. Inse aaj bhi fish pakdi jati hain. Ye Chinese nets India mein Cochin mein first time chini traveler Zaheng Hey ne use kiye the. Aap beach par walk karte karte in nets
Ko easily dekh skte hain . Yaha ka sbse payara Sightseen evening me sunset ke time dekhne Ko milta hai
5. Marin Drive Cochin:----- Marin Drive mein ghumte huye aap chochin ke backwater ko enjoy kar skte ho.
Yeh jagah Mumbai ke Marin Drive jesi hi hai. Every evening sunset ka beautiful scene dekhne ke liye bahot crowed yaha aati hai. Ye ek lambi sadak hai
jiske ek taraf Samundre ki lehre and dusri taraf bahot sari fast-food shops hain. Local people ke liye yeh ek picnic spot hai.
6. Folk lore- Museum -Cochin Kerala:----- Agar aapko Kerala and south India ki lok Sanskriti ek hi jagah dekhni hai to aap Folk Lore museum jaroor visit kre.
Yeh museum bahar se kisi king ke palace jesa dikhai deta hai. Kerala, Malabar,Kokan, Taminladdu etc ke kone kone se collect ki gai precious things
yaha laai gai hai. Floor se lekar roof tak har cheez vaastukala ka namuna hai.
Yeh three floors me Bani building hai, jiske har floor par alag alag places se laai gai Antic things ka collection hain. Like.... Pathar ki murtiyan, Musical instruments, Antic jewellery, clothes, Furniture, paintings, Bartan, Mukhote, sikke, Taamarpatar, Big big Deepdaan etc.
7. Kerala ka Traditional dance Kathakali:------ Kerala jaye and Kathakali ka performance na dekhe esa to ho nahi skta. Kathakali
dance Ko enjoy karne ke liye is dance ki Shelli Ki jaankari hona bahot jaroor hai. Yeh Kathakali dance 17th century ka Baad shuru hua. Tab se aaj tak Kathakali dance Shelli Ko bahot se great kings ka support Mila. Kathakali Ko Kerala ki famous shaastri rangkala ki position Mili hai.
Kathakali ki sbse attractive cheez hai iski dress-up. Big big dress and Mukhote. Kathakali dance performers bahot atche se apna make up karte hain. And pracheen stories and music ko Apne beautiful expressions se perform krke dikhate hain. Bahot enjoyable hota hai yeh dance performance dekhna.
8. Kalaripaytattu:------ yeh ek antic indian war art hai. essa mana jata hai ki Agastya Muni ne kalaripaytattu youdh kala ka invension kiya . unhone iss youdh kala
ki khoj especialy wild animals se fight karne ke liye ki thi uss time iss area mein bohot quantity mein lions ghumte the. lions and another wild animals human beings par attack kar dete the, unke in attacks se apni safty ke liye agastya muni ne fighing ka ek new style develope kiya jisse name diya gaya kalaripaytattu. uske baad Muni Parshu Ram ne iss youdh kala ko Saamarik youdh kala se connect kar diya aur iske base pe akele hi kitni hi battalions ko haraya. Parshu Ram ne hi iss kala mein weapons ko joda.yeh kerala ki antic youdh kala
hai jo aaj tak present hai jiska credit yaha ke peoples ko jata hai jinhone isse ab tak alive rakha hai.
9. kerala ke taste:------- kerala mein jaha Portuguali , Douch , British , Arbi peoples trading ke liye aaye vahin sath hi vo people apne sath apni countries ke taste bhi lekar aaye. yeh taste kerala ke spices ke sath milkar aur bhi khil uthe. issi liye pure kerala mein different - different type ke tasty food
milte hai.basically kerala mein sea food ki quantity jyada dekhne ko milti hain. ager apko biryani khane ka bohot shonk hai to yaha ki biryani zaroor try kare. yeh biryani heydrabadi and any indian biryanies se alag hai. yaha ki biryani mein apko Arab country ka taste milega. agar aap pure vegetarion hai tab bhi yaha apke liye bohot varities hai khane ke liye. yaha ke snacks
bohot tasty hote hai like panzpori, nayapapam, paripuvada, kujlapapam , atchapapam, kadala etc jaroor try kare.
10. Shopping------ Shopping ke point of view se kerala jaha Heritez market ke liye jana jata hai, vahi latest cheezo me bhi kisi se piche nahi hai. yaha se aap Antic
decoration things, furniture, clothes, kerala ke shaandaar spices buy kr skte hain. daalchini, chotti elachi, kaali mirch etc ki fresh fresh aroma aapka mann moh legi. yaha coconut oil se bne home made soaps bhi bahot famouse hain. agar aap kerala ki traditional golden border wali white sarri buy krna chahte hain to Mahatma Gandhi Road market sabse atchi hai. aap yaha se banana chips jarur buy kijiye , ye sweet and salty dono type mein milte hain.
11. Kerala ka Ayurveda spa and Panch -karma:---- Agar ap kerala jaye aur yaha ki antic Ayurveda spa
ka anand na le to aapki kerala visit uncomplete mani jati hai. people seven samundar paar karke kerala mein especialy apne aap ko rejuvenate karne aate hai . yaha hazaro saalo se sambhal ke rakhi kerlali ayurveda spa and Panchkarma ki jaduai duniya aapki health me new safurty and energy bhar degi.
yaha ke ayurveda nuskho se aapki skin pehle se jayada glowing and healthy ho jayegi vo bhi bina kisi chemical ke use kiye. so jab bhi aap kerala visit kre jaroor enjoy kijiye bina chemical ke spa ko.....
12. House Boat:----- kerala ki specialty hai back water houseboat. Aap house boating ko alleppey and kumarakom mein enjoy kar sakte hain. houseboats
duniya bhar ke sabhi people ke liye bohot hi attraction ka place hai. sabhi houseboats mein necessary safty options avaliable rehte hai aur yeh safty conditions kerala government aur tourist department ke according hote hai .
Three types ki houseboats avaliable hoti hain:---
1. Deluxe house boat----
iss par only basic facalities available hoti hain. Iss me 1 bed room se 8 bed room tak Houseboats Available hai. Iss me Bed Rooms ke sath Drawing Room, Kitchens & Upper deck facilities rheti hai. Night me 9pm to 6am AC Facility dete hai.
2 . Luxury houseboat ---- Iss par bohot saari modern facalities available hoti hain,
like Full time AC facility avaliable rehti hai.
Drawing Room me bhi AC Available rehta hai. Pack Glass se Pack rehti hai.
3. Premium houseboat ----- yeh sabse best houseboat
hai. issme 24 hours ke liye AC facility avaliable rehti hai and well uniformed waiters service mein rehte hain.
sabhi houseboats par breakfast , lunch , dinner proper kerala style
ke according offer kiya jata hai. sbhi houseboats mein bedroom , kitchen and bathroom avaliable rehte hain.houseboats back water par chalti hain. houseboat par check in ka time hai afternoon 12:00 PM to next morning 9:00 AM .
Munnar mein aap tea ke baggano mein visit kar sakte hain. uske baad Trivendaram mein big and famous temples hain like padmavan temple
etc mein visit kar sakte hai. fir Kovallam night stay ke liye best place hai. Kovallam se 20 - 25 km aage Poovar ice land
sightseeing places hain.
Kerala ke liya October to February tak ka season best hai. Munnar hill station hone ke karan thanda rehta hai, kerala ke baaki places par normal atmosphere rehta hai .
So friends apni holidays ko memorable banane ke liye kerala holidays package ko select kare.
Sbse best holidays packages SPARSH HOLIDAYS provide karte hai. Sparsh holidays make a promise to their clients that their dreams will be fullfill by sparsh holidays....
SPARSH HOLIDAYS contact no - 9372416643
I hope aaj ka travel blog aapko pasand aaya ho.....aaj ke liye itna hi fir milte hain Kutch new topic ke sath.till then bye bye ....
Take care....
Healthy raho hygiene raho....

Comments
Post a Comment