Skip to main content

Indian Festivals are Full of happiness and Joyness.....

Hi Friends,
Kese hain aap sbhi,
Main hu aapki blogger Manisha...
welcome to my blog 
"Healthy mann ki baat"..........

Guys  aaj ke blog me hm baat krenge hmare desh india me celebrate kiye jane wale festivals ke baare me.
Agar india ko festivals ka desh kaha jaye to galat nahi hoga.... jitne tayohaar hmare desh me manaye jate hain shaayad hi kisi or country me manaye jate honge. hmare india me Ekta me Anekta ki jhalak specially festivals pr dekhne ko milti hai......
Festivals time to time aakar hmari life me nayi chetna, nayi umang and new Energy bhar dete hain.
Festivals ke time ghar parivaar and society ke logo se milne julne ki opportunity to milti hi hai, balki festivals ke through aapsi misunderstanding or difference in thoughts bhi solve krke ekta and bhaichaara kaayam krne me bhi aasani hoti hai. and ese national consciousness bhi increase hoti hai and desh majboot banta hai.
Festivals ka naam lete hi hmare chehre khushi se khil
uthte hain. tayohaar hme fir se apni apni jindgi me aage badne and  hardwork krne ke liye refresh kr dete hain. isliye kisi bhi country ke liye festivals ki bahot importance hoti hai.
aaiye ek nazar daalte hai hmare india me celebrate kiye jane wale famous festivals par.......

1. Raksha Bandhan :------ payar and apnapan bhare festivals me se Rakhi
ka tayohaar bhi ek famous and attractive  festival hai. yeh festival pracheen tayohaaro me se ek hai.
Raksha Bandhan india me badi dhoom dhaam se manaya jata hai. yeh festival bahi behan ke aapsi payar ki gehraai ka tayohaar hai.

Raksha bandhan par sbhi behne apne bhai ke liye mangal kaamna krti hain...and bhai ki kalai par rakhi baandhti hain. Bhai apni behan ko har situation me unki raksha krne ka promise dete hain. bhai behan ek doosre ko  sweets khilate hain and bhai apni behan ko kutch na kutch gifts and shagun dete hain.
is tarah Raksha bandhan bhai behan ke aapsi payar or saneh ka tayohaar hai.


2. Janmasthami:--------Janmasthami ka tayohaar
bhi pure desh me bade aanad and harsho ulaass se manaya jata hai. yeh tayohaar  Holi, Diwali and Dushera ki tarah puri tarah se dharmik tayohaar hai.
is tayohaar se shradha and  vishvaas jese satvik bhaavo ka vikas hota hai. janmashthami
ka festival krishanpaksh ki ashthmi ki raatri ko manaya jata hai. is deen Krishna ke baal sawroop  ki upasana pooja ki jati hai. and raat me Krishna ji ke jeewan leela ki alag alag anek  jhankiya aayojeet ki jati hain. jinhe dekh ke hmara mann aatam vibhor hojata hai.
iss din log fast rakhte hain and Krishna ji ke bhajan krte hain. and raat ko 12 bje Krishna ji ke janam ke samaye  parsaad lekar apne fast ka samapat krte hain.


3. Ganesh utsav:-------Yeh festival
Maharashtra me hi nahi balki sare bharat me bde hi dhoom dhaam se manaya jata hai. Es festival ke aate hai sbhi log apne gharo me Ganesh ji ki murtiyo ko laate hain and 7 days tak
unki pooja ki jati hai unhe sajaya jata hai. fir 7 ya fir 10 days ke baad ganesh ji ki murtiyo ko badi dhoom dhaam se dance krte huye pani me visarajan
kr diya jata hai. sbhi isi umeed se ki agle saal fir bappa hmare gharo me khushiya leke aayenge, bappa ko khushi khushi veeda krte hain.
""Ganpati bappa morya........ agle baras tu jaldi aa..........".



4.  Durga pooja :----- Yeh hmare bharat ka ek bahot mehtavpoorn (important) tayohaar hai.
yeh tayohaar Shakti ki aaradhana ke liye aayojeet kiya jata hai. 10 days tak Durga pooja
ki jati hai and daandiya ke pandaal bhi aayojeet kiye jate hain. bharat ke bahot c jagah is tayohaar ko navratri
ke roop me bhi manaya jata hai. 9-10 days tak sbhi bhakat jan mata ke fast rakhte hain maata ki pooja krte hain. and last day kanjak pooja krke fast kholte hain.
Maa Durga ke das hatho me das shastra jese Trishul, Khadag, Chakra, Baann, shakti, Gadda, Dhanush, Paash Ankush and Barcha..sushobhit rehta hai.
Durga pooja ka utsav Ten days tak chalta hai.sbhi log Devi ki araadhana krte hain and devi ke bhajan krte hain. bahot jagah Mele bhi lagte hain.
Dashmi ke din Mata ki jai jaikaar krte huye bhakt jan Maa Durga ki partimaa ka jal me visarajan krte hain.


5.Vijaya Dashami :------ Dushere ka tayohaar
sare bharat me bahot josh se manaya jata hai. Es din bhagwan Shree Ram ne lankapati Ravan ko maarkar vijay paai thi. astaya par satya ki jeet hui thi. isliye isko Vijayadashami bhi kehte hain. Ram ji ki Lanka par vijay ki khushi me Ayodhaya me khushiya manai gai thi. tabhi se every year Dushera manaya jata hai and Ravan, Meghnaath and Kumbhakaran
ke Pootle bnakar jalaye jate hain and khushiya manai jati hain.


6. Karvachowth:------Karvachowth ka tayohaar
bhi Bharat me bahot aanad and khushiyo se manaya jata hai. yeh Diwali se 8 days pehle manaya jata hai. karvachowth ke tayohaar ko Ganesh Chaturathi bhi kaha jata hai.
Karvachowth
ka vart ladies  apne husband's ki lambi umar ke liye and sukh sobhaagya ke liye rakhti hain. is din sbhi ladies dulhan ki tarah sajti hain and pure din nirjal vart rakhti hain fir raat ko Chaand dekh kar pooja krti hain and apne pati ke hatho se jal peekar apna fast kholti hain. karvachowth ka tayohaar aate hi bajaaro or shops pr ladies ki bheed lag jati hai.
har taraf ronak hi  ronak shuru ho jati hai. yeh tayohaar husband and wife ke pyar ka festival hai.





7. Diwali:------- Diwali ko deepo ka tayohaar bhi kaha jata.
yeh  tayohaar  every year kaartik maah ki amavasya ko sare  desh me  bahot hi dhoom dhaam se  manaya jata hai. vese is tayohaar ki dhoom hafte bhar rehti hai. diwali ke sath four festival or manaye jate hain.
diwali se pehle Dhanteras ka festival aata hai. sbhi log dhanteras par koi na koi new bartan jaroor lete hain. is festival
se gharo me pooja and deep jalne shuru ho jate hain. fir agle din choti diwali aati hai, fir Deepawali,  fir Gowardhan pooja, fir Bhaidooj ka festival last me aata hai. har tayohaar ki apni importance hai.
Diwali ke din Shree Ram ji 14 saal ka bannvaas kaat kr Mata Sita ji and Lakshman ji ke sath Ayodhaya vapis aaye the. isi khushi me us time logo ne ghee ke deep
jalakar khushiya manai thi. tab se ab tak har saal isi tarah sbhi apne gharo me deep jala kr pooja krte hain and khushiya manate hain.
Diwali par sbhi  ghar, shops, raaste roshni se bhar jate hain. har taraf lights ka parkaash hi parkaash hota hai. raat ko sbhi Lakshmi Maa or Ganesh ji ki pooja
krte hai.
Sbhi pepole ek dusre ko sweets ,badhai and shubh kamnaaye  dete hain. Bache patake, fulljhadiya jala kar khushiya manate hai.




8. Eid Ul Fitar:------  Eid Muslim logo ka sbse big festival hai. yeh tayohaar
bharat me hi nahi balki puri duniya me bahot hi dhoom dhaam se manaya jata hai.
yeh festival Ramjaan ka pavitra month ke baad manaya jata hai. Ramjaan ke days me sbhi muslmaan pure din fast rakhte hain. evening me namaaz adda krke hi kutch khate hain. Ramjaan ke last day jab sky me Chaand dikhai  deta hai. tab next day
Eid manai jati hai. sbhi log bhed bhaav bhula kar ek dusre ko gale se lagate hain and ek dusre ko Eid mubarak keh kar badhai dete hai.



9. Christmas 🎄:------- Yeh festival bhi sare desh me bahot khushi se manaya jata hai. yeh christian logo ka famous festival hai. Christmas
ka festival 25 December ko manaya jata hai. isko bada din bhi kehte hain.
yeh festival Esamasih ke birhday ke roop me manaya jata hai. is day Christian People apne apne gharo ko sajate hain and Christmas tree
bhi lagate hain. Christmas tree ko bahot atche se sajaya jata hai. ghar or market roshni hi roshni se chamak jate hain.
Christmas par sbhi Girija-gharo me prayers hoti hai.
Christmas par log Cake 🎂 cutting krte hain and ek dusre ko cake khilakar Christmas ki badhai dete hain.
Christmas par Koi person Santaclous
bankar children me gifts and chocolates distribute krte hain.



So Friends ese hmare desh ne Har festival ki apni importance hai. and har festival bahot hi dhoom dhaam and khushiyo se manaya jata hai. Festivals sbhi ko ek dusre ke pass leaate hain. sari duriya, sari narazagi, sare faasle festivals ke aane par door ho jate hain.  I love my India, i love my all festivals.....

I hope aaj ka blog aap sbhi ko bahot atcha lga ho.....
aaj ke liye itna hi fir milte hi kisi new topic par healthy mann ki baat ke sath.......
Till then bye bye.....
take care......

Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends,
Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha 
welcome to my healthy mann ki baat 
Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips...
Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits.

take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:---

1. Wash and clean everything:- Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho
unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize
krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dijiye.

2. Wash milk bag…

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends,
kese hain aap sbhi,
main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat......

Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki.

Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai.

Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi.

1. Kya hai Coronavirus :-------
Corona…

Child Vaccination Details

Hi, Friends,
kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,  
Welcome to healthy mann ki baat.....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai
baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye.

Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad
baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai.

Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain.

indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:-----

1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus Calmette  Guerin . ye i…
satta king