Namshkaar dosto,
Kese hain aap sbhi, Aasha krti hu sb thik se hi honge....Welcome to Healthy mann ki baat....Main hu aapki Manisha,
Friends aaj ka hmara topic hai Navjaat shishu ki dekhbhaal kese kre.
Jab baby ka birth hota hai to vo hmari life me bahot sari khushiya lekr aata hai. Nanhe se phool ke aane se hmari jindgi ki bagiya khil jati hai....lakin sath hi baby ke liye hmari bahot sari responsibility bhi increase ho jati hai. Ek Maa ke liye to baby ke aane pr puri life hi change ho jati hai....sara time bas baby ka hi khayal rehta hai. Every Mom wants to do best to best for her baby.
So friends aaj ke blog me hm discuss krenge ki new born baby ki care kese atche se kre ki baby healthy or happy rahe.....
1. New Born baby ko jayada Logo se kutch dino tak door rakhe.
kyonki is se baby ko infection hone ka risk rehta hai.
2. New born baby ki mom ko apni maa se, naani se, daadi se, jo jo sikhne ko mile regarding baby care, sikhte rehna chahiye..
3. New born baby ki neck bahot naazuk hoti hai so please bahot dhayan se baby ko pakde,
kyonki gardan ka vikaas atche se hone me kutch month lagte hain. so isliye baby ki neck ko sahara dete huye bahot dhayan se bache ko pakde.
4. Baby ko jor jor se na hilaaye kyonki esa krne se baby ke head me blood jamne ka khatra rehta hai.
5. baby ko hmesha saaf hatho se touch kre, jab bhi aap toilet jate hain ya or kisi bhi kaam ko krke free hote hain to pehle atche se dettol hand wash kre,
fir baby ko uthaye.
kyonki new born baby ka immunity System itna bold nahi hota ki vo infection ko fight kr ske. so hatho ko atche se saaf krna bahot jaroori hai.
Agar ghar se bahar hai jaha soap and water nahi hai vaha aap Sanitizer use kr skte hain.
6. Baby jab so raha ho to fan ki speed kam rakhe kyonki jayada tez hwa me baby ko saans lene me pareshaani ho skti hai.
7. Baby ki everyday baby
oil ya coconut oil se massage kre and fir gungune pani
se bath de. massage
hmesha halke halke hatho se kre. jor jor se kbhi bhi massage na kre. halke halke hatho se massage krne se baby ko aaraam milta hai and vo relax hokr nini krta hai.
massage se baby ke bones majboot hote hain so daily masaage kre.and yaad rahe maalish ke baad baby ko nehlana bhi jaroori hai. is se baby puri tarah relax feel krta hai..
8. Babies ko music sun na and sb us se baate kre ye bahot atcha lagta hai. to apne baby se payari payari talking kijiye vo bhi reply me smile dega......
9. Some babies bahot sensitive hote hain, unhe jayada light ya crowd wali jagah me uncomfortable lgta hai jiske kaarn vo bahot rote hai. isliye ese babies ko calm
atmosphere me hi rakhe. and unke saamne jayada loudly baat na kre.
10. Aap jaha rehte hain agar vaha jayada machar and makhi wala area hai to baby ke liye net jaroor buy kre. jis se baby dengue and maleriya jesi bimariyo se bach ske.
#kyonki kutch month tak baby jayada lete hi rehte hain to unhe net se cover krke safe kr skte hain.
11. Babies ki care se related books bhi online available rehti hain to aap inse bhi knowledge gain kr skte ho.
12. Baby ka diper dirty hone ke baad khol do, uske baad gungune pani me cotton bhigokr baby ko atche se clean kro. fir dry cloth se poch lo.
fir Diper ointment
jaroor lagaye baby ko, ya fir coconut oil lga skte hain. antibacterial powder bhi use kr skte hain. but agar insbse bhi baby ke rashes thik nahi ho rahe ho to please doctor se hi consult kre .
13. Babies ke kapdo
ko alag se wash kre. and kapde hmesha dettol ke pani me nichode. washing mashin me jab rinse mode aata hai tab ek cap dettol
ki daal do. is se kapde germs free honge and baby infections se safe rahega. kyonki sirf dhona kafi nahi kapdo ko germs free krna bhi jaroori hai. and ye to sach hi hai ki hr maa maane dettol ka dhula.......
14. Baby ke aas paas puri safai rakhe. ghar ke floor ko bhi dettol ke pani se hi saaf krna best germs free Solution hai.
15. Ghar se bahar jaha water and soap available nahi hai tab hatho ko sanitizer se saaf kre. uske baad hi baby ko feed krwaye. sanitizer
ek best option hai ghar se bahar hatho ko germs free krne ke liye.
16. Baby ke liye jo bhi new toys buy krke laaye unhe atche se sanitize krke hi bache ko khelne ke liye dijiye. or jayada best yahi haj ki daily toys
wash krke atche se clean krke baby ko do kyonki bacha hr cheez muh me daalta hai. isliye make sure ki toys germs free ho.
17. Baby ke birth ke baad kutch week tak baby ko atche se kapde me lapet kr rakhna chahiye.
its very important because esa krne se baby ke hath uske sharir ke pass rehte hain and baby ko pairo ko hilane me aasani hoti hai. is baare me kisi Nurse ya ghar me kisi elder person se jaankaari Lo.
18. Baby ko time to time injections lagwaye jo bache ko kitni bimariyo or infections se bachate hain.
shishu teeka-krn card bnwa le and jab bhi jo bhi injection lag jaye usko card pr date ke aage mark kr do.
Poliyo ki two boond bhi yaad se time se bache ko pilate rahe.
19. Baby ki tabyat agar thik nahi hai to ghar ke nuskho se aarm ka wait na kre. doctor se jaldi consult kre. isi me samjhdaari hai.
friends baby ki dekhbhaal krte krte bahot se new new experience hote hain. jo sbke liye alag alag bhi ho skte hain or same bhi.
bas hr maa ka same dream ya same fikr yahi hoti hai ki uska baby healthy rahe happy rahe and hmesha khilkhilata rahe, muskuraata rahe.......
maa apne baby ke liye hmesha best krti hai and best krne ke naye naye tareeke search krti hai.... bas isi search me mere bhi ye kutch tips ya experience apna ke dekhiye....atcha lagega aapko and aapke baby ko....
Aaj ke liye itna hi fir milte hai kisi naye topic ke blog ke sath.....
Till then bye bye....
God bless u....
Comments
Post a Comment