Skip to main content

Babies care in Summers

Hi friends,
How r u,
Main hu aapki Manisha. Welcome  to  all of u in healthy mann ki baat....

Friends winter jaa chuka hai apni halki halki sun light fella ke,  and
summer aagya hai apni chilmilati grmi ke sath.
Specially small babies ke liye to summer season bahot jayada pareshaani leke aata hai.
Summers me bacho ko dehydration, Over heating, Diapers rashes, heat rashes etc..
ki pareshaani ho skti hai.
So aaj hm discuss krenge ki summers me babies ka khayal kese rakhe.....

1):-- Clothings:--  Babies ke cloths ka specially dhayan rakho. Cotton clothing is best option for summer time. light colour hi select kro dark colour ke kapde garmi dete hain.  tight fitting wale kapdo me jayada sweating aata hai jis se body rashes ho  jate hain so loose fitting wale kapde pehnaao. and jab bhi baby ko aap walk pr leke jate ho to full seleves ke kapde pehnaao. full selves se mosquitos se safty rahegi. and if aapka baby agar A.C me sota hai to bhi full seleves ke shirts hi pehnaao.  so summers me cotton ke kapde hi buy kro apne baby ke liye but jayada se jayada full seleves hi lijiye.



baby ki hat,cap bhi cotton ki hi select kro. jab bhi bahar jao baby ko leke to baby ko cap jaroor pehnaao isse sun raise se head bachega and  jayada grm nahi hoga.
socks na hi pehnaao to atcha hai. sandels shoes ese type ke select kro jisme se air cross hoti rahe. summers me dipers bahot km use kre cloth nappy jayada use kre.


2. Let them play in water:---- Summers me babies ko pani me play krne de. sbhi ko pta hi hai ki bache pani me bahot enjoy krte hain. baby water tubs me bache ko thodi der khelne do enjoy krne do. pani me unhe relif milta hai summers me grmi se.



3. Diapers:---  Diapers hmesha  best quality ke hi use kro. cheap quality se rashes ho jate hain. jab bhi diapers change kro to sbse pehle skin atche se clean kro fir coconut oil lagaao fir diaper pehnaao. coconut oil me cooling properties hoti hai is se baby ko relif milta hai and rashes bhi nahi hote.
winter me diapers jayada use kro but summers me pure day baby ko diapers me mat rakho. summers me jayada cloth nappy pehnaao. skin ko breath krne do summers me.

4. Hydration:--- Summers aate hi hme pani ki jayada need feel hoti hai. hm baar baar thirsty feel krte hain. ese hi babies ko bhi jayada pani pilaaye. agar baby six month se  niche hai to pani to nahi de skte then baby ko two two hours baad feed krwate rahe. chahe thoda thoda but jaroor baar baar pilate rahe, breast milk unhe hydrated  rakhega.
Six month se upper ke baby ko pani jayada se jayada pilaaye. water based fuits khilaye like watermelon ,muskmelon, kherra, coconutwater, curd, lassi jesi thandi cheeze baby ko do. inse baby ko summers me aaram milega and hydration bhi milegi.



5. Skin care:---- Summers me baby ki skin ki atche se care kro. coconut oil se baby ki daily massage kro. massage se baby ki development atche se hoti hai. and massage se baby ko bahot relaxatation milta hai .
so please summers ho ya winters  baby massage krte rahe. massage coconut oil se kro kyonki isme cooling properties hoti hain jis se baby ko rahat milti hai.
kabhi kabhi dahi se ya kabhi milk se bhi massage kr skte hain.
bathing jaroor krwaye. maine apne winter care wale blog me bhi aapko bataya tha ki massage ke baad nehlaana jaroori hota hai.
bas pani comfortable ho, na jayada hot na jayada cold. luke warm water every season me thik rehta hai babies ke liye.
bathing se baby relax feel krta hai and atche se neend leta hai.
Moisturization bhi jaroori hai . koi bhi atchi quality ki baby cream buy kro summers ke liye. summers me small quantity hi lagaye, bas cream jayada sticky and greecy na ho. summers me baby ko sun sucreen cream ya lotion  lga kr hi bahar leke jaye. and ye lotion puri body pr lagaye.

Powder ke harmfull effect jayada hain,so powder ignor hi kre.agar lagana bhi hai to bahot carefully lagaye.

6. Heat protection:--- Summers me baby ko sun ki heating se bachaye. bacho ko jayada se jayada indoor hi rakhe specially 10 a.m to 5.p.m. isi time jayada dyhydration hota hai . so is time bahar na jaye agar jaana bhi pde to baby ke head ko cap ya towel se dhak kr and  full seleves cotton ke  kapde pehnake le jaye. and day time me hmesha sun screen cream use kre. bina sun screen cream lagaye baby ko bahar na leke jao.
sath me hmesha water bottol carry kro . baby ko baar baar sip sip krke pani pilate raho.

7. Protection from Mosquitos:--- Summers me babies ko ghar or bahar mosquitos se safe rakhna bahot jaroori hai. summers aate hi inka khatra bahot ho jata hai. so bahot carefully rehna padta hai.
jab baby six month se niche hota hai to vo most of time slipping krta rehta hai us time baby ke upper mosquito net rakh skte hain. kyonki is age me doctors bhi kutch bhi baby ki body pr lagaane se mna krte hain.
so is time nett use kro and full seleves clothes pehnaao, kapde light colour ke hi lo, dark colour mosquitos ko attract krta hai .
 atleast one year tak to baby ko koi bhi product na lagaye machro se bachaane ke liye. aap chahe to goodnight roll on use kr skte hain but ye bhi only kapdo pr lagaao skin pr nahi. and kapdo pr bhi esi jagah lagaao jaha se baby ke muh me jaane ka dr na ho jese backside, shoulders, pants pr lagaa skte hain.

So friends ye the kutch tips jo aap use kr skte ho summers me babies ki care ke liye. u know that i have also twins aur unki care atche se krne  ke liye main hr koshish krti hu. i am sure hr maa apne baby ke liye best chahti hai.
I hope aapko apne baby ki best care me mere ye tips kaam aaye.
jaldi milte hai kutch new topic ke sath. till then bye bye....
God bless u
Love u all......


Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends,
Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha 
welcome to my healthy mann ki baat 
Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips...
Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits.

take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:---

1. Wash and clean everything:- Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho
unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize
krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dijiye.

2. Wash milk bag…

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends,
kese hain aap sbhi,
main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat......

Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki.

Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai.

Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi.

1. Kya hai Coronavirus :-------
Corona…

Child Vaccination Details

Hi, Friends,
kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,  
Welcome to healthy mann ki baat.....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai
baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye.

Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad
baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai.

Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain.

indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:-----

1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus Calmette  Guerin . ye i…
satta king