Skip to main content

How to avoid medicines in our life

Hello Friends,


kese hain aap,

Main hu aapki Manisha,

Friends ye to hm sb chahte he hain ki jitna ho ske hm hmesha doctors or medicines se dur hi rahe. but esa possible nahi ho pata kyonki hm bahot laprvahi se life ko jeete hain .agar apni busy life se thoda sa time khud ke liye bhi nikala jaye or apni health ke liye apni life style me kutch changes kiye jaye to kaafi hdd tak hm healthy fit bhi rahenge or medicines se bhi dur reh paayenge.
 so friends aaj hm yahi discuss krenge ki apni life style ko kese healthy bnaya bhi ja skta hai or healthy rakha bhi ja skta hai.

1. Healthy food with healthy hands:-- friends ye to hm sb jaante hi hai ki agar khud ko healthy rakhna hai to hme junk food,oily food,colddrinks ko apni life se nikaal kr healthy food ko apnana hoga. but healthy food tabhi tummy me jaakr hme healthy bnayaegA jab food ko healthy hands means saaf hatho se khaya jaye.
jab hm ghar pr hote hain to hm soap se hatho ko saaf kr lete hain or is tarah saaf hands se khana kha lete hain but agar hm ghar se kahi bahar hain jaha soap and pani possible nahi tab hatho ko clean kese kre. iska solution hai ki aap jab bhi bahar jaye to please sanitizer sath me carry kre. is tarah bahar bhi hm healthy hatho se khana bhi kha payenge or bimar hone se bhi bach payenge.

2. Hand sanitizer :---- friends aaj kal kitni bimariya sirf touch krne se hath milane se or public things ko use krne se hoti hain. to ab se jaha bhi aap jaye chahe, traveling,office ,hospital,school,college ya fir public toilet to please hatho ko sanitizer se saaf krna na bhule.
aap kisi bhi company ka sanitizer use kr skte hain jese dettol,savlon,lifeboy,fine etc.
bas jab bhi lge ki hatho ko clean krna jaruri hai tab sanitizer ki do drop hands pr daale and atche se ragad kr hath saaf kr le fir kisi napkin se poch le. haina atcha option hatho ko clean krne ka jaha pani or soap possible nahi hota.
ese hm kafi hdd tak bimar hone se bach jayege.
school me ja rahe bacho ko to sanitizer bahot jaruri hai. kyonki school time me bache bahot activities krte hain but hath dhona bhul jate hain or dirty hands se khana kha lete hain fir bimar ho jate hain.isliye ab se apne bacho ki tifin ke sath sanitizer bhi jarur dijiye.

3. Healthy rehne ke liye subah uthte hi ek gilas pani piye. pani agar gunguna ho to jayada fayedemand rehta hai. is se body ka digistsystem thik rehta hai. and body dioxcide hoti hai and body ka metabolisam system bhi thik rehta hai.

4. Healthy rehne ke liye daily thodi exercise and walk bahot jaruri hai. jis se body me blood circulation thik se hota hai.and body fitt rehti hai.or hm bimari or medicines se bach pate hain.

5. Healthy breakfast  se apne din ki shuruvaat kijiye. kabhi bhi breakfast ko skip mt kijiye. kyonki itni lambi nind ke baad sharir ko energy food ki jarurat hoti hai full day ke actions ke liye.

6. Healthy rehne ke liye apni diet me jayada se jayada protins and grains ko add kre.

7. Meetha km khaye, meethe se fat increase hota hai.or weight bdne se kesi kesi bimari body ko lag jati hai.

8. Fruits and vegetables jayada khaye, inme colories intake less hota hai.and tummy ko clean krne me helpful hain.or hmara paachan bhi thik rehta hai.

9. Full day me 7-8 gilaas water jaroor piyo.

10. Khane ko atche se chaba chaba ke khaye, isse khana atche se diguist ho  jata hai.

11. Tea coffie ka sevan km kre.

12. Bahot jayada cold water na piye.

13. Lift ki jagah stairs use kre.

14. Healthy rehne ke liye raat ko 5-6 hours ki neend jaroor le.

15. Ghar ke floor ko saaf krne ke liye pani me dettol add kre. and kapdo or nahane ke liye bhi dettol pani me milaye. dettol se germs atche se kill ho jate hain.

16 . Traveling me hmesha hand sanitizer use kre.

so friends in tips ko apni life me use kijiye and healthy rahiye. main to daily ye sb follow krti hu. and bina sanitizer ke kabhi traveling nahi krti and na hi ghar se bahar jati hu. aap bhi apni life style me ye changes laker dekhiye bahot fayada hoga aapko and aapki family ko.
aaj ke liye itna hi fir milte hai kutch new lekar.
tab tak ke liye bye bye.
Stay healthy.
God bless u.

Comments

Popular posts from this blog

How to maintain hygiene in COVID-19 ( coronavirus )

Hello Friends,
Kaise hai aap sabhi main hu aapki blogger as well as youtuber manisha 
welcome to my healthy mann ki baat 
Aaj hum discuss karenge coronavirus se bachne ke liye kuch hygiene tips...
Un jese dangerous diseases se khud ko aur apni families ko kaise safe rakhe with help of some hygienic habbits.

take some steps to lower your risk of getting sick. here are some things you should do.:---

1. Wash and clean everything:- Sabhi products jo aap market se buy karke laate hain chahe wo Consume karne ke ho ya use karne ke ho
unhe acche se clean kijiye if possible please wash them anotherwise you can sanitize them. I believe only in dettol but you can use any cleaning fluid which you have faith. aap khud sochiye koi bhi samaan jo aap tak pahunch raha hai vo many parsons ke hatho se touch hokr aa raha hai. isliye inko sanitize
krna bahot jaruri hai. bina clean kiye direct use krna is not healthy for you and your family. even bacho ke new  toys bhi sanitize krke hi dijiye.

2. Wash milk bag…

Coronavirus' symptoms and precautions.

Hello Friends,
kese hain aap sbhi,
main hu aapki blogger Manisha, and welcome to my blog Healthy Mann ki baat......

Friends jesa ki aap jaante hi hai ki aajkal Ek bahot dangerous virus ko lekar sare world me stress bna hua hai. Yeh bahot hi khatarnaak and jaanlewa virus hai. Hum baat kr rahe hain Corona virus ki.

Yeh Corona Virus China ke Wuhaan city ke sea food market se shuru hua and China Ko apni chapet me Lene ke Baad puri duniya par khatarnaak  baadalo ki tarah mandra Raha hai. China me tabaahi machane ke Baad ab ye another countries me bhi enter kr Raha hai.

Coronavirus China se dusri countries me un travellers ke through aaraha hai jo people China me travel krke Abhi Abhi apni country me vapis aarahe hain. Ya fir koi chini traveller apni country se hmari country me enter kar Raha hai. Aaj se 15 years pehle  bhi esa hi khattra sare world par bna tha Saras virus ki vajah se. 2002-2003 me Sars virus ne world ke 700 se jayada logo ki Jaan li thi.

1. Kya hai Coronavirus :-------
Corona…

Child Vaccination Details

Hi, Friends,
kese hain aap sbhi, Main hu aapki Manisha,  
Welcome to healthy mann ki baat.....

Friends aaj ke blog me hm discuss krenge bacho ko diye jane wale injections ke baare me, jo ki babies ke janam se hi start ho jate hain. baby tika-karn bahot jaroori hota hai
baby ko sari umar ki jaanleva bimariyo se bachane ke liye.

Actually birth ke time baby ki Rog -partirodhak  power bahot hi week hoti hai. ese me baby ko bahot si  dangerous diseases hone ka khtra bna rehta hai. isliye birth ke baad
baby ko diye jane wale vaccinations se baby ko bahot si khatarnaak bimariyo se bachaya ja skta hai.

Which injection, when, and how many time is baare me parents ko puri details rakhni chahiye. right time pr diye gye vaccinations se baby ki body me antibodies bante hain,jo baby ki body ko bimariyo se fight krne ke liye ready krte hain.

indian gov. vaccination Project ke according  important and main  vaccination details:-----

1. B.C.G Vaccination :---- B.C.G means Bacillus Calmette  Guerin . ye i…
satta king